Bata Adeem apni khoobiyon ka hisaab aaya
kaha hamesha hi sifar mujh ko jawab aaya
Bata wo muddat k baad aaya to kia laga hai
kaha k jesay palat k ehad e shabab aaya
Bata k peghaam us ko bhaija to kiyon na pohancha
kaha kabotar urraa to us per uqaab aaya
Bata samandar mein tu ne kashti na kiyon chalai
kaha mujhay yun laga k jesay saraab aaya
Bata k dekhay na kiyon barastay hibab tu ne
kaha k bondon mein chhup k har ek hibab aaya
Bata k nakaam ho k tujh ko khushi hai kesi
kaha khushi mujhay k tu kaamyab aaya
Bata wo din kiyon na aa saka jo guzar gaya tha
wo, jab k waqt e sahar wohi aaftaab aaya
Kaha k bhoolay hum us ko to behisaab bhoolay
Adeem aaya wo yaad to behisaab aaya
ADEEM HASHMI